Woh Jis Ka Gham Hai Abar Ki Surat Tana Huwa

Sehra Hai Rashk Moj e Kosar Bana Huwa

Jis K Ghulam Ab Bhi Suleman Se Kam Nahi

Jis Ka Mazar Khuld K Ewaan Se Kam Nahi

Jis Ka Mizaj Wada e Yazdan Se Kam Nahi

Jis Ki Jabeen Latafat e Quran Se Kam Nahi

Woh Jis Ki Pyas Chashma e Aab e Hayat Hai

Woh Jis Ka Naam Aaj Bhi Wajha e Nijaat Hai

Woh Kehkashan Jabeen Woh Zabih e Muqaam

Jis Ne Kiya Zameer Ana Mein Sada Qeyaam