Tareekh Ki Burhi Aankhon Ne

Is Dasht e Bala Ki Garmi Mein

Ek Shakhs Ko Baithay Dekha Hai

Jo Apnay Khoon K Qatron Se

Is Rait K Zaray Zaray Per

Kuch Satrein Likhta Jata Hai

Phir Garm Hawa K Jhonkon Se

Yeh Zaray Phailtay Jatay Hain

Aur Phail K Sari Duniya Mein

Yeh No e Bashar Se Kehtay Hain

Yun Zulam Ko Roka Jata Hai

Yun Kufar Ko Toka Jata Hai

Shabbeer (A.S) Ne Aa K Karbal Mein

Yeh Sab Logon Ko Batlaya

Duniya K Yazeedon (L.A) Ko

Duniya Se Yun Hi Mitaya Jata Hai