Is Nehaj Pe Insan Ne Socha Hi Kahan Hai

Shabbeer (A.S) Zamanay Mein Risalat Ki Zuban Hai

Yeh Abar Ka Tukra Jo Bikharta Hai Fiza Mein

Sadaat K Jaltay Huway Khaimay Ka Dhuwan Hai

Behnay Laga Har Zulam Mislay Khas o Khashak

Zainab (S.A) Teri Taqreer Bhi Ek Seel e Rawan Hai

Shabbeer (A.S) Ki Aawaz Jo Goonji Sar e Maqtal

Zainab (S.A) Yehi Samjhi Ali Akbar (A.S) Ki Aazan Hai