Hussain (A.S) Ab Bhi Samjh Raha Hai Yazeediyat K Sabhi Isharay

Hussain (A.S) Ab Bhi Lahu Se Seraab Kar Raha Hai Fala K Kinaray

Hussain (A.S) Ab Bhi Saja Raha Hai Zameen Pe Shamas o Qamar Sitaray

Hussain (A.S) Ab Bhi Badal Raha Hai Sitam Ki Tugyanion K Dharay

Hussain (A.S) Ab Bhi Suna Raha Hai Sina Pe Quran K Dard Paray

Hussain (A.S) Ab Bhi Sanbhal Sanbhal K Bacha Raha Hai Sabhi Saharay

Hussain (A.S) Ab Bhi Luta Raha Hai Nabi (S.A.W.W) K Deen Per Sajal Dularay

Hussain (A.S) Ab Bhi Yeh Chahta Hai K Mushkilon Mein Koi Pukaray

Yazeediyon (L.A) Ko Yeh Weham Kyun Hai K Sirf Ek Din Hisaab Ho Ga

Hussain (A.S) Se Jo Jahan Bhi Uljhay Ga Wohin Pe Khana Kharab Ho Ga