Es matam-o-girya ko na samjho tamasha

Har dour mein yazed k monh py hy tamacha

Ye aaho buka es liey ham karty hain logo

Karbal mein raha be kafan MOHAMMAD(saww) ka nawasa

Ham bi na kabhi roty na karty yon matam

Gar AL-E-MOHAMMAD(saww) ko na rakhty pyasa

Ham fakhar bi karty faqat hoti shahadat

Sadaat ko by parda na bazar mein lata

Hay kesi Qyamat k 72 k jnazy

Ehsas tujhy hota gar tu bi uthata

Chata tha yazed matam-e-SHABEER ko roky.

Khul jaein gy sab raaz agar matam howa SHAH ka

Ye matam-e-SHABER hy tum sath do es mein

Kheraj karo pesh MOHAMMAD(saww) sy wafa ka

Labaik ya HUSSAIN (AS)

Salwat