rozy qiyamat kisi be shks ky liay amaan nahin magar wo jo taqwa ikhtiyar karay.

H.IMMAM HUSSAIN(AS)

KHUDA WANDA ALAM NAY amr-bil-maaroof o nahi-anil-munkar ko aik wajib ke hasiyat say zikar kia hay kioun ka woo janta hay ka agar ya ada ho gay to baqi sub kuch ada ho jai.

H.IMMAM HUSSAIN(AS)

jo loog KHUDA ki ibadat kisi cheeze (Janat) ki khwahish ka liay kartain hain in ki ibadat tajroon(Merchents) ki ibadat hay, jo loog KHUDA ki ibadat kisi cheeze(Jahanam) ky khoof sy krty hain un ki ibadat ghulamoon ki ibadat hay , aur jo loog KHUDA ki ibadat shkar ky unwaan say kartay hain wo azaad loogoon ke ibadat hay aur yahi sub say afzal ibadat hay,

H.IMMAM HUSSAIN(AS)