Kya Shaan Ha Ye Aankh Kahan Jaa Ke Larri Ha

Yaan Rehmat-E-Maula Sar-E-Darbaar Kharri Ha

Aashufta Sari Ishq-E-Mohammed Ko Na Bolo

Milti Nahi Har Ek Ko Ye Shaan Bari Ha

Deevana-I-Mehboob-E-Khuda Se Koi Pooche

Ye Jwhdi-E-Musalsal Ki Barri Sakht Karri Ha

Allah Jise Sarwar-E-Kaunain Bana De

Uss Shah Ki Har Baat Sadaqat Se Bhari Ha

Afkaar Men Kirdar Mein Her Baat Mein Yakta

Itmaam-E-Nabuwwat Ki Yehi Ek Karri Ha

Masjoood-E-Malaik Hai Risaalat Kaa Gharana

Imroz Muhammed Ki Wiladat Ki Gharri Ha

Mein Taalib-I-Deedar Hun Kab Se Mere Aqa

Aankhon Mein Meri Deed Ke Ashkon Ki Larri Ha

Nabiyo’n Mein Kisi Ko Na Mili Dawat-E-Meraj

Ye Shaan Bhi Azmat Ke Chiragho’n Men Rachi Ha

Chughtai Na Mar Jai Bina’n Deed Ke Teri

Kitna Hai Woh Khud Gharz Use Apni Parri Ha