Kia Hua Tujhay Ay Shaam Ke Teri Rooh Itnee Be-Chain Kion Hay

Kion Murjhaya Hay, Aisy Lagay Hay Jesy Saalon Ka Beemar

A’amal-E-Zindgi Pe Naadan Hy Ya Ghame-E-Zamana Se Preshan

Na Ker Koee Gham Ay Pyaary, Sun Rahmat-E-Elahi Ki Pukaar

Rehy Umeed Ka Pouda Sar Sabz Tou Hay Zindgi Mein Bahaar

Torray Ga Jo Ta’luq Is Sy To Nazar Aien Gay Tujy Khar Hi Khar

Rakh Apny Gunahon Ka Khof Bi, Per Umeed-E-Rahmat Bi Hay Laazim

Ke Yehi Umeed Ker Day Gi Haqeeqat-E-Dunya Tujh Pe Aashkaar

Jo Ke Lia Bura Us Per Reh Naadim Aur Ker Lay Irada Naiki Ka

Ke Hukme-Ilahi Aur Tariqa-E-Nabi Kay Baghair Sab Hy Bekaar

Ban Ja Aajiz Banda Us Ka, Dil Tuty Per Hukm-E-Khuda Na Tutay

Dikha Day Nidaamat Ki Tarrap Apni Ke Dhul Jaey Ye Dil-E-Daghdar

Ker Lay Irada Musamam Ke Phir Na Ho Ga Sar Zad Tujh Sy Gunah Koi

Huey Pe Ker Touba Ky Hay Wuss’at-E-Rahmat-E-Elahi Be-Shumaar.