Kehty hain bary fakhar se ham gham nhi karty

matam ki sada sunty hain matam nhi karty

wo log bhala samjhain ge kia ramz e shahadat

jo eid to karty hain muharam nhi karty

kyun jalta hai tera dill

kyun jalta hai tera seena

ham tery seeny pe to matam nhi karty

mohsin yehi maqbool riwayat hai jahan main

qatill kabi maqtool ka matam nhi karty