Hazrat Abu Huraira R.A se rivayat he:

Ek dehati Allah ke Rasool s.w.m ke pas aya aur arz karne laga ke Ap mujhy koi aisa amal batayen ke agar wo bajalaon to jannat men dakhil hojaon,

Ap s.w.m ne farmaya ke Allah ki Ibadat karo, uskey sath kisi ko shariek na tehrao,

Farz namazen aur muqarrara zakat ada karo aur Ramzan ke rozey rakho,

Dehati bola mujhy us zat ki qasam jis ke hath men meri jan he main is se ziyada nahi karonga jab wo chala geya to Allah ke Rasool s.w.m ne farmaya jo shakhs kisi jannati ko dekhna chahey to wo is shakhs ko dekh ley.

(Sahih Bukhari Hadith No:704)

Jab Allah k Rasool (S.A.W.W) ne farma dia k kamyabi sirf isi m ha to hum qun choti choti baton pe tafirqa bazi kar rahe hain > lets b Unite > lets first follow the basics …