Insan apni marzi k khilaf dunya main aata hai

aur

apni khwaish k khilaf yahan sy chala jata hai.

.

Bachpan main farishta,

jawani main shaitan

aur

burhapay main bewakof samjha jata hai.

.

Ghareeb hai to fazol hai,

ameer hai to maghroor hai.

.

Khairat karta hai to shuhrat ka bhoka,

nahi karta to kanjoos hai.

.

Mazhab parast hai to makkaar hai,

mazhab sy dour hai to gunah’gar hai.

.

Dunya main aata hai to har koi usay chomna chahta hai,

dunya sy janay k baad har koi us sey jaan churana chahta hai.

.

Aakhir is insan ki haqeeqat kya hai????