Fiza Ne Jab Dariya Mein Pani Ko Sehlaya,

To Jitne Bal Khake Paani Kinaron Se Takraya,

Utani Baar Aye Khuda Tu Yaad Aaya.

Jab Baarish Ki Boondon Ne Dharti Ko Chooma,

Humne Zameen Par Bikharte Sitaaro Ko Paya,

Jitne Sitaaron Ko Saawan Ne Barsaya,

Utani Baar Aye Khuda Tu Yaad Aaya.

Fiza Ne Jab Gulshan Mein Foolon Ko Mehkaya,

To Jitani Baar Mehak Ko Humne Apni Saanson Mein Paya,

Utani Baar Aye Khuda Tu Yaad Aaya.

Baadlon Ke Peeche Se Jab Suraj Yun Muskaya,

Uski Naram Kiranon Se Tune Jab Zindagi Ki Lau Ko Jalaya,

Utani Baar Ae Khuda Tu Yaad Aaya.

Gulshan Ki Raahon Se Jab Main Guzra,

To Jitane Khushgwaar Ehsaason Ko Maine Kareeb Paya,

Utani Baar Aye Khuda Tu Yaad Aaya.

Aye Kaash Ke Tu Har Waqt

Yun Hi Mere Saatjh Rahe

Na Main Kuch Kahun

Tu Bhi Khamosh Hi Rahe

Bas Nazron Se Nazrein

Isharon Mein Baatein Kahe

Aur Dekh Kar Yun Humein

Koi Aur Deewana Bhi Yeh Kahe

Ki Aye Khuda Tu Yaad Aaya

Aye Khuda Tu Yaad Aaya