‘FARAIZ_E_NAMAZ’

Namaz k 14 farz hai jin me se chnd ase hai jin ka Namaz se pehle ada karna zarori he.or in ko Namaz ki sharait b kaha jata he.wo ye hai.

(1)badan ka pak hona.(2)kapro or jai namaz ka pak hona.(3)mardon ko naf se ghuthno tak or aurton ko chehre,hathelyun or qadmo k elawa tamam badan ka dhakna faraz he.(4)Namaz ki jaga ka pak hona.(5)Namaz ka wqat hona.(6)qibla ki tarf rukh karna.(7)Namaz ki niyat karna.

ye sab Namaz ki sharait hai.

or chnd fraiz ase hai jo Namaz me dakhil he.wo ye hai.

(1)takbir-e-tahrima kehna(2)qiyam,yani karha hona.(3)qirat karna,yani 1bare aayat ya 3choti choti aayatai ya 1choti sorat parhna.(4)ruko karna.(5)sajda karna.(6)qadah akhira karna.qadah bethne ko kehte hai jis qadah me salm pherte hai wo ‘qadah akhira’ kehlat he.(7)apne irada se Namaz khtam karna.

kul 14 Faraiz pori ho gai.agar in me se koi b chiz jan boj kar ya bhol kar reh jay to Namz nai ho gi dobara parhna farz hoga.(AASAN NAMAZ.page 35)