Ae Khuda!

Jab bhi tera aasmaan dekhta hoon,

Us mein basa ik jahaan dekhta hoon,

Na janey kitney hi jahaanon ki sair kerta hoon,

Khol ker jab tera Quran dekhta hoon,

Tere ehsaan kitney hain bandon pe,

Jab bhi surah Rehmaan dekhta hoon,

Tu to kehta hai rag-e-jaan se bhi hoon Main qareeb,

Phir pareshan kyun aaj ka insan dekhta hoon?

Uski Rehmat se kabhi mayoos na hona, ae ‘Imran’!

Tujh pe main uski rehmat ke nishan dekhta hoon.