Abdullah Bin Masood Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah ne ek seedhi lakeer khenchi, phir fermaya: ‘ye Allah ka raasta hai’ Phr Aap ne iskey daen aur baen (right and left) chund lakeerain khenchi aur fermaya: ‘ye mukhtalif raastey hain, in main se her ek raastey per Shetaan hai. (Musnad Ahmed) Phir Aap ne ye Ayat tilawat fermae: ‘aur yaqeenan ye mera seedha raasta hai, lihaza tum isi ki pairwi karo aur tum doosrey raaston ki pairwi na karo, woh tumhain (Allah) ke raastey se alag ker daingey (Al-An’aam, 153)