Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay hee afsaanay.,

Kuch qissay naye thay aur kuch berson puranay..

Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se thay qareeb,

Kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay..

Kaash aisi koi rut koi mosam aaye,

Khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay..

Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hai,

Aik roz tow aayein gay wo hum ko mananay..

Safha-e-dil ko koi hamare perh ker dekhay,

Khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay..

Guzra hua zamana bhula doo zehen se apnay,

Aatay nahi hain kionkeh beetay huay zamanay..

Roy