Ek shaks jungle me ja raha tha, shaitan bhi us k sath tha, us ne ek waqt ki bhi namaz ada nahi ki, shaitan us sy bhagne laga, us shaks ne shaitan k bhagne ki waja poochi tou shaitan ny kaha ke,’me ne umar bhar sirf ek bar Adam(A.S) ko sajdy sy inkar kia tou Malaun qarar dia aur tu ne aaj sari namazai’n tark kr di tou mujhy khauf aa raha hy k tujh pe jo azab nazil ho tou us qehar ka shikar me na ho jao’n…’