Shaam e gham jab bikhar gai ho gi

janay kis kis kay ghar gai ho gi ?

itni larzaan na thi chiraagh ki lau,

apnay saye say dar gayee ho gi

chandini ik shab ki mehmaan thi

subah hootay hi mar gayi ho gi

dair tuk wo khafa rahay hum se

door tuk ye khabar gayi ho gi

aik darya ka rukh badaltay hi

aik nadi phir utar gayi ho gi

jiss tarhaan woh safar pe nikla tha

sari rounaq udhar gayi ho gi

raat souraj ko dhoondnay kay liye

ta ba hud e sehar gayi ho gi

mairi yadoon ki dhoop chaoon mei

uss ki sourat nikhar gayi ho gi

ya taluq na nibha saka uss say

ya tabiyaat hi bhar gayi ho gi

tairi pal bhar ki dosti mohsin,

uss ko bad’naam kar gayi ho gi . . . . . . . . . ;->…