mujhe se pehli si mohabbat mere mehboob na maang

main ne samjha tha k tu hai to darakhshaaN hai hayaat

tera gham hai to gham-e-dahr ka jhagRa kya hai

teri soorat se hai aalam mein bahaaroN ko sabaat

teri aankhoN k siwa duniya mein rakha kya hai!

tu jo mil jaaye to taqdeer nigooN ho j?ye

yuN na tha, main ne faqat chaha tha yuN hoj?ye

aur bhi dukh hain zamaanay mein mohabbat k siwa

raahateN aur bhi hain wasl ki raahat k siwa

.

.

.

.

an-ginat sadiyoN k tareek baheemaana tulism

resham-o-atlas-o-kamkhwab mein bunwaaye hue

ja-ba-ja biktay hue koocha-o-b?zaar mein jism

khaak mein lathRay hue, khoon mein nehlaaye hue

laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya kijay

ab bhi dilkash hai tera husn, magar kya kijay

aur bhi dukh hain zamaanay mein mohabbat k siwa

raahateN aur bhi hain wasl ki raahat k siwa

mujhe se pehli si mohabbat mere mehboob na maang