Nagri nagri phira musafir Gher ka raasta bhool gaya
kia hey tera kia hey mera apna paraya bhool gaya

Kia bhool kesey bhoola Q poochtey ho bus youn samjho
kazin Dosh nahin hey koi , bhola bhaala bhool gaya

Kesey din they kesi raatain, kesi baatain ghatein thien
man balig hey pehley piyaar ka sunder sapna bhool gaya

Andhiyaarey sey aik kiran ney jhaank ke dekha, Shermayi
dhundhli chaap to yaad rahi, kesa chehra tha? bhool gaya

yaad key pheyrey mian aaker dil per aesi kari choot lagi
dukh mian sukh hey, sukh mian dukh hey bheyd yeh niyaraa bhool gaya

Aik nazer ki aik hi pal ki baat hey dori saansoun ki
aik nazer ka noor mita jab ik pal beeta bhool gaya

Soojh boojh ki baat nahin hey man moji hey mastana
leher leher sey jaa sur pukaar, sager gehra bhool gaya

Hansi hansi main khail khail main baat ki, baat mian rang mita
dil main hotey hotey aakhir Ghaao ka risna bhool bhool gaya

Apni beeti jag beeti hey, jab sey dil ney jaan liya
hanstey hsantey jeewan beeta ona dhona bhool gaya

Jisko dekho uskey dil main shikwa hey to itna hey
hamian to sab kuch yaad raha per hamko zamana bhool gaya

Koi kahey ye kisney kaha tha? ke jo kuch jee mian hey
mera jee keh ker pachtaya or phir kehna bhool gaya …