Mein haqiqat hoon samjhta hai wo afsana mujhe
Khud jalty hain bana ker apna perwana mujhe
Gardish-e-Dooran se keh do Hoosh ki batein kery
Gham ke Toofano se bhi aata hai takrana mujhe
Unse Unki Bazam mein itna hee keh k uth gaye
Ronaqain tumko Mubarak or Veeraniyan mujhe
Jaanay kia insan tha aashna lagta tha wo
Ker gaya sary shaanisaoun se be-gunna mujhe
Aesy chup chup ker kahan tak zehmat-e-jalwa gari
Haser jo bhi ho nazar aa be-hijaaban mujhe
Meri tark-e-Mehkashi per meri her tuba ke baad
ehtiraaman leyne aaya meer-r- maikhaana mujhe
Her naye saqi ne UFF hasb-e-Riwayat he dia
Mere hee khoon-e-jiger se bher ker pemanay mujhe
dekh ker iss dil ki thandi aag mai jalty howy
Ho gaye rukhsat duayain de ker perwany mujhe