Humare Darmya’n Aesa Koii Rishta Nahin Tha

Tere Shano’n Pe Koii Chat Nahin Thii

Mere Zime Koii Aa’ngan Nahin Tha

Koii Wada Terii Zanjeer-E-Pa Ban’ne Nahin Paya

Kisi Iqrar Ne Meri KaLaii Ko Nahin Thama

Hawa-E-Dasht Kii Manind

Tu Aazad Tha

Raste Teri Marzi Ke Taabeh Thay

Mujhe Bhii Apni Tanhaii Pe

Daikha Jaaye Toh

Poora Tasaruf Tha !

Magar Jab Aaj Tu Ne

Raasta BadaLa

Toh Kuch Aesa Laga Mujh Ko

Keh Jese Tu Ne Mujh Se Be’wafaii Kii . . . */…