Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi

Din Raat Daudati Duniya Mein
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi

Maa Ki Looree Ka Ehsaas To Hai
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi

Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi

Saare Naam Mobile Mein Hain
Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi

Gairon Ki Kya Baat Kare
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Aankhon Me Hai Neend Badee
Par Sone Ka Waqt Nahi

Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi

Paison ki Daud Me Aise Daude
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi

Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Tu Hi Bata E Zindagi
Iss Zindagi Ka Kya Hoga
Ki Har Pal Marne Walon Ko
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi