ab k hum bichhRay to sh?yad kabhi khw?boN mein mileN

jis tarah sookhay hue phool kit?boN mein mileN

DhoonD ujRay hue logoN mein wafa k moti

ye khaz?nay tujhe mumkin hai khar?boN mein mileN

gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo

nasha baRhta hai shar?beN jo shar?boN mein mileN

tu khuda hai na mera ishq farishtoN jaisa

dono insaaN hain to kyun itnay hijaaboN mein mileN

aaj hum daar pe khenchay gaye jin baatoN par

kya ajab, kal vo zamaanay ko nisaaboN mein mileN

ab na vo main hun, na tu hai, na vo maazi hai faraz

jaise do shakhs tamanna k saraaboN mein mileN