Woh nadiyaan nahi thi aansu the mere,

Jis par mere Dost kashti chalate rahe…

Manzil mile unhe yeh chahat thi meri,

Isliye hum aansu pe aansu bahate rahe…

Kash khushiyon ki koi dukan hoti,

Humari hi waha pehchan hoti,

Bhar dete aapk daman khushiyon se,

Kimat uski chahe meri jaan hoti.

Mushkilo se ghabra ke ab jina nahi chahte,

Dur tum se hoke ab rehna nahi chahte,

Yun to dost bahut bane iss zindagi me,

Par aap jaise dost ko khona nahi chahte.

Teri palko par khwaab rakh gaya koi

Teri sanso pe naam likh gaya koi

Chalo waada raha tumse

Bhool jana hume agar humse

Ahcha dost tumhe mil gaya koi…

Vaise to kayi dost hai hamare

Jaise aasman me hai kai taare

Par aap dosti ke aasman ke wo chand hain

Jiske samne fike padte hai saare sitare..