“Agar Hum Dost Hote To”

To Karam Ki Inteha Kartey

Tumhen Palkon Pey Rakhtey Hum

Tumhen Dil Men Basatey Hum

Agar Tum Rooth Jaatey To

Tumhen Kitna Manatey Hum

Jo Milney Tum Nahi Aatey

To Aa kar Khud Tumhen Miltey

Tumhari Laghzishon Ko Bhi

Hansi Main Hum Ura Detey

Agar Apni Khata Hoti

To Khud Ko Bhi Saza Detey

Magar Ye Sab Jabhi Hota

Agar Ham Dost Hotey To

Magar Itna Hi Jana Hey

K Tum Ney Aaj Tak Hum Ko

Paraya Keh Kar Jana Hey

Kabhi Hamdam Naa Mana Hey

Agar Ham Dost Hotey To..