Chera mera tha nigahaien us ki

Khamshi main bhi wo batain us ki

Meray chahray par ghazal likhti gaien

Sher kahti hui ankhaien us ki

Shokh lamhoun ka pata dainay lagien

Taez hoti hui saansaien us ki

Aesay mosam bhi guzaray hum nay

Subhaien jub apni thien shamaien us ki

Dhian maien us kay ye alam tha kabhi

Ankh mahtab ki yadien us ki

Rang joenda wo aey to sahi

Phool to phool haien shakhaien us ki

Faisla moj-e-hwa nay likha

Andhian meri baharaien us ki

Khud pay bhi khulti na ho jis ki nazr

Janta kon zubanaien us ki

Neend iss soch say tooti aksar

Kis tarah katti haien rataien us ki

Door rah kar bhi sda rahti haien

Mujh ko thamay huey banhaien us ki…