Insha ji ! uThTho ! ab kuuch karo, is sha’hr meN jii kaa lagaanaa kyaa

vahshii ko sukuuN se kyaa matlab, jogii kaa nagar meN Thikaanaa kyaa

is dil ke dariidaa-daaman ko dekho to sahii, socho to sahii

jis jholii meN sau chhed hue us jholii ko phailaanaa kyaa

shab biitii, chaaNd bhii Duub gayaa, zanjiir paRii darvaaze meN

kyuN der gaye ghar aaye ho, sajnii se karoge bahaanaa kyaa

us husn ke sachche motii ko ham dekh sakeN, par chhuu na sakeN

jise dekh sakeN par chhuu na sakeN vo daulat kyaa vo Khazaanaa kyaa

us ko bhii jalaa dukhte hue man, ik sholaa laal bhabhuukaa ban

yuN aaNsuu ban beh jaanaa kyaa, yuN maaTii meN mil jaanaa kyaa

jab sha’hr ke log na rasta dekheN, kyuN ban meN na jaa vishraam kare

diivaanoN kii sii na baat kare, to aur kare diivaanaa kyaa

Ibn-e-Insha