Mosam-e-Mohabbat ka bas itna fasana he,

Kaaghaz ki haweli he barish ka zamana he,

Kiya shart-e-Mohabbat he kiya shart-e-Zamana he,

Aawaz bhi zakhmi he geet bhi gaana he,

Us Paar utarne ki umeed bohat kam he,

Kashti bhi puraani he Tuofaan ko bhi aana he,

Samjhe ya na samjhe wo Andaz-e-Mohabbat ko,

Ek shakhs ko aankhon se ek shair sunana he,

Bholi si ada aaj phir koi ishq mein zid par he,

Phir aag ka darya he aur duob k jaana he.