jab saawanrimjhim barstaa hai,

tab mera rom rom khil uthtaa hai.

saamne hote ho jab tum mere,

mera man tumhaare deedaar ke liye tarstaa hai.

aankhon aankhon mein hoti hain baatein,

dil ikraar karne se dhadktaa hai.

pyaar se sirf dil hee nahee,

pooraa yaovan kaa shringaar mahktaa hai.

sochtee hoon kahoon tumse kyaa,

par aa jaatee hai aankhon mein hayaa.

kaheen kho naa doon main tumhe,

isliye inkaar karne se bhee dar lagtaa hai.

jaise machhlee tadptee hai jal binaa,

waise hee dil mera tumhaare binaa tadptaa hai.

hai yahee khwahish ki poore hon phere tumhaare saath,

kaaboo nahee hain mere dil ke jasbaat.

tumse milne ke baad meree jindagee mein aa gayee hai khushiyon kee bahaar,

kyonki chhaa gayee hai mere dil mein chaahat kee jhankaar.

is bheegee barsaat kee raat mein,

aao ek duje mein ham kho jaayen.

jud jaayen ek duje se ham rooh se rooh tak,

taaki phir kabhee bhee judaa na ho paayen.