Barsaat Aaa Bhi Chuki

Too ne aik roz kaha tha mujh se

Door tujh se ma agar ho jaaoon

Jaal duniya ka hai rangeen o haseen

Us ke rangon ma agar kho jaaoon

Teri ma’soom si un baaton ko

Shookh o saada si teri yaadon ko

Bhool jaaoon bhi to ye yaad rahe

Aaj tujh se ye mera waada hai

Jab bhi barsaat tere aangan ma

Pyaar se aan ke dastak de gi

Ma ussi roz challa aaoon ga

Aaj ma soch rahi hoon kab se

Kya hui baat ke too aaya nahi

Jab ke barsaat to kal aa ke mere

Kache aangan ma rahi hai shab bhar