Zindagi dard bhi, dawa bhi thi

Hum’safar bhi gureizpaa bhi thi

Kuch to the dost bhi wafa dushman

Kuch mairi aankh main haya bhi thi



Din ka apna bhi shor tha laikin

Shub ki aawaaz bhi sada bhi thi

Ishq ne hum ko ghaib’daan kiya

Ye’hi tohfa, ye’hi saza bhi thi

Gard’baad-e-wafa se pehle tak

Sar pe khaima bhi tha rida bhi thi

Maan ki aankhein charagh thein jis main

Mere hum’raah wo dua bhi thi

Kuch to thi reh’guzar main shama-e-talab

Aur kuch taiz wo hawa bhi thi

Be’wafa to wo khair tha Amjad

Laikin us main kahein wafa bhi th