Wafa ruswa nhi karna

Suno aisa nahi karna

Mai pehle he akela hun

Muje tanha nahi karna,

Judai aa b jaye to

Ye dil chota nahi karna

Bohat musroof ho jana

Mujhe socha nahi karna,

Bharosa bhi zarori hai

Magar sub ka nahi karna

Muqadar to muqadar hai

kabhi shikwa nahi karna

Meri takmeel tum se hai

muje aadha nahi karna