Uss Simt ko chaltey ho to itna usey kehna .

Ab koi nahi harf_e_tamanna usey kehna .

Tum ney he kaha tha to yaqeen mujh ko howa tha .

Chahat nahi hoti kabhi ruswa usey kehna .

Duniya to kisi hal mey jeeney nahi deyti .

Umeed pey qayam hai yeh duniya usey kehna .

Zarkheaz zameney kabhi banjar nahi hotein .

Daryaa he baddal letey hain rasta usey kehna .

Kuch loag safar key liye mozoon nahi hotey .

Kuch rastey kat-tey nahi tanha usey kehna