Tu milay tu duniya milay

Ek mudat se meri soch ka mehwar tu hai

Ek mudat se meri zaat k andar tu hai,,

Main teiry pyar k sahil pe khara hon tanha

Meri ulfat meri chahat ka samndar tu hai,,

Maine daikhaiy hain shab-0-roz sapnay tumharay

Kitnay achay aur piyaray hain sapnay tumharay,,

Jab kabhi zat ki tanhi ka ehsas houa

Muje ko sahray dainay chalay aye sapnay tumharay,,

Dil yeh chahta hai teri zaat main kho jaoon main

Zat ko apni mitta ker tiara ho jaoon main,,

Muj per anay lgay dhop ghamon ki jis dum

Teri zulfon ki ghani chaoon main soo jaon main,,

Ankh kehti hai nazar ay tumhari surat

A kash k dil main uttar jay tumhari surat,,

Is se barh ker aur bhala azmat kia hai

Meri duniya main muje mil jay tumhari surat,,

Phir tu apnay muqadar pe main naz karon mehfooz

Muj ko muyyasar ho jo nazia tumhari ulfat,,

Kaliyan khila daiti hain ek muskurhat teri