Tal’luq toot jaye ga mera sarey

zamaney se,

Mere apney khafa honge tumhen apna

bananey se,

Humari jaan jaye gi to phir jaan

jao ge,

Ke hasil kuch nahi hota kisi ko

azmaney se,

Tumhara naam kaisey mita doon apni

kahani se,

Bohat gehra tal’luq hai tera mere

fasaney se,

Kabhi Toofan, kabhi Barish, kabhi Aandhi,

kabhi Sailaab,

Sab hi ne dushmani kar li hamarey

ashiyane se!

k,k