Parveen shakir

kamal e zabt ko main khud hi azmaun gi

main khud apnay hathon uski dulhan ko sajaun gi

supurd kar k usay chandni k

main apnay ghar k andhero main kho jaun gi

badan k karb ko kabhi samajh na paye ga

main dil main roun gi ankho main muskuraun gi

wo kia gaya rafaqaton k saray lutf gaye

main kis se rooth sakun gi kisay manaun gi

ab uska fun to kisi or se hua mansoob

main kis ki nazm akelay main gungunaun gi

wo ek rishta be nam bhi nahin lekin

main ab bhi us k isharo per sar jhukaun gi

bujha dia tha gulabo k saath apna wajood

wo so k uthay to khuabon ki raakh uthaun gi

sama`ato main ghanay janglo ki saansain hain

main ab kabhi tri awaz sun na paun gi

jawaz dhoond raha tha nai muhabat ka

wo keh raha tha k mian usko bhool jaun gi