Na koi khawab na koi saheli thi

us mohabbat mein main akeli thi

ishq main tum kahaan kay sachay the

jo aziyat thi woh hum ne jheeli thi

yaad ab kuch nahiin raha laiken

ik dariya tha ya haveli thi

jis nay uljha kay rakh diya dil ko

woh mohaabbat thi ya paheli thi

mein zara si bhi kam wafa karti

tum ne tu meri jan le li thi

waqt kay sanp kha gaaye usko

meray aangan main ik chanbeli thi

us shab-e-ghum main kis ko batlaon

kitni roshan meri hatheli thi