na janey kya dekhta hai phooloan ki mehak main,

aataa nahin usey maza daulat ki chamak main,

munsif to hazaroan hain maujood meri gali,

hua nahin magar ek bhi faisla merey haq main,

bann sakaa na woh wafadar kabhi watan ka,

na maloom kya kami thee yahan key namak main,

‘anaa’to itni basi hai insaan main aaj,

ho jaata hai qatl khyaaloan key farq main,

izzat ki abb kisey parwaah hai yahan sheba,

ladtaa hai khaandaan yahan khuli sadak main……!!!