Munh (chehra) dekh liya ayine main,

Per dagh na dekhe seene main,

Dil aisa lagaya jeene main, Marne ko musalman bhul gaye,

Jis dour pe nazaa the duneya, Hum ab wo zamana bhul gaye,

Ghairo ki kahani yaad rahi,

Hum apna fasana bhul gaye,

Takber to ab bhi hoti hai, masjid ki fiza main aye Anwar,

Jis zarab se dil hill jate the, wo zarb lagana bhul gaye,

Quran mila aur aswa bhi maan’sabhe khar-e-umat ka,

Hum kese saware dunia ko, hum khud he sawarna bhul gaye.