‘Muhabbat hai’

Mujhay apni tanhai say,

Jo mujhay tumhari yaad k qareeb karti hy.

‘Muhabbat hai’

Mujhay un khawabon say,

Jo sirf tumhen dekha karty han.

‘Muhabbat hai’

Mujhay guzarti har os raat say,

Jo beet gai tumhari yaad main.

‘Muhabbat hai’

Mujhay us sawal say,

Jis ka jawab tum ho.

‘Muhabbat hai’

Mujhay apny DIL say,

Jo dharakta hy sirf tumhary liay.

‘Muhabbat hai’

Mujhay apni saans say,

Jis me sirf tumhara naam basa hai.