Main apny dosti ko shahar main ruswa nahe karti

Mohabat main bhe karti hoon magar charcha nahe karti

Jo mujh se milnay aajaey main us ki dill se khadam hoon

Jo uth k jana chahay main us ko roka nahe karti

Jisay main chor daiti hoon usay phir bhool jati hoon

Phir us hasti ke janib main kabhi daikha nahe karti

Taira israr sar aankhon pe k tum ko bhool jaon main

Main koshish kar k daikhon ge magar waada nahe karti…