Luta raha tha mera sehar rooshni jab tak

har ek shaks taraney issi key gaata tha

issi ki subh sey eendhan gharoon main jalta tha

issi ki shaam sey sab chirag roshan they

qabaain ilam-o-hunar ki issi ney bakshi thee

yahe aataain hoi dastaar-e-aagahi sab ko

aur aaj jab key hai seena fagaar sehar mera

kissi bhi haath main marham nahi gulaab nahi

laho luhaan hain is sehar key jawa lakin

koi nahi jo pursaan-e-haal in ka hoa

Aadaaltee bhi hain jageer aaj haakim ki

so munsafi ki umeeden bhe in key saath nahi

agarcha zulm pey khamoosh sari basti hai

wo jo addeb hain shaair hain woh bhe hain khamoosh

key har zuban pey hain muslihat ki zanjeerain

main kia dekhaoo mery sehar bey hissi un ki

jinheey garoor-e-bagawat tha wo ALAM na utheey

jinheey tha dawa-e-haq-e-gooyai wo qalam na utheyShare