Lahoo Na Ho To Qalam Tarjumaan Nahi Hota

Hamare Daur Main Aansoo Zuban Nahi Hota

Ye Kis Makam Pe Laaye Hai Meri Tanhai

Ke Mujh Se Aaj Koi Badgumaan Nahi Hota

Jahan Rahega Wahin Roshni Lutayega

Kisi Charag Ka Apna Makaan Nahi Hota

Main Us Ko Bhool Gaya Hoon Ye Kon Maane Ga

Kisi Charag Ke Bus Main Dhuwan Nahin Hota

Tera Khayal Na Hota To Kon Samjhata

Zameen Na Ho To Koi Aasmaan Nahi Hota

Bas Ek Nigah Meri Raah Dekhti Hoti

Ye Saara Shahar Mera Mezbaan Nahi Hota

‘IrsHad’ Sadiyon Ki Aankhon Se Dekhiye Mujh Ko

Wo Lafz Hoon Jo Kabhi Daastan Nahi Hota