Kia kahoon apney chaman se mai juda kiunker hua

Aur aseere halqa-a-daame hawa kiunker hua

Jaye hairat hai bura sare zamane ka hoon mai

Mujh ko yeh khil’at sharafat ka ata kiunker hua

Kuchh dikhane dekhne ka tha taqaza taur per

Kia khabar hai tujhko ai dil faisla kiunker hua

Hai talab bemudda’a hone ki bhi aik mudda’a

Murghe dil daame tamanna se riha kiunker hua

Dekhne wale yehan bhi dekh lete hain tujhe

Phir yeh wada hashr ka sabr aazma kiunker hua

Husne kamil hi na ho is behijabi ka sabab

Wo jo tha pardon mai pinhan khudnuma kiunker hua

Maut ka nuskha abhi baqi hai ai wirde firaq

Charagar deeewana hai mai ladawa kiunker hua

ALLAMA IQBAL