Kaash hum khul k zindagi kartay

Umar guzri hai khud kushi kartay

bijlian iss taraf nahi aaiin

warna ham ghar main roshni kartay

kaun dushman teri tarah ka tha

aur ham kis say dosti kartay

ishq ijrat talab na tha warna

hum teray dar pay nokri kartay

iss tamanna main ho gaye roswa

hum b jee bhar k aashqi kartay

hussn aus ka na khul saka muhsin

thak gaye log shayeri kartay