‘Jeena Isi Ka Naam Hai’

Kisi ki muskirahato pe ho nisaar,

Kisi ka dard mill sake to ley udhaar,

Kisi ke waste ho tere dil me piyaar,

‘jeena isi ka naam hai’

Mana apni jeeb se faqeer hain,

Fir bhi yaaro dil ke hum ameer hain,

Mity jo piyar ke liye . . . . wo zindagi ,

Jale bahaar ke liye . . . . Wo zindagi ,

Kisi ko ho na ho . . . . Hame to hai Aitbaar ,

‘jeena isi ka naam hai’

Rishta dil se , dil ke aitbaar ka,

Zinda hai hami se naam piyar ka,

Ke mar ke bi kisi ko yaad ayenge ?

Kisi ke aansowo me muskiraenge ?

Kahega phool har kali se baar baar

‘jeena isi ka naam hai’