Bat Niklegi To Phir Dur Talak Jayegi

Log Bewaja Udasi Ka Sabab Pochhenge

Ye Bhee Pochenge Ke Tum Itne Pareshan Kyo Ho

Ongliyan Uthenge Sokhe Huye Balo Ke Taraf

Ek Nazar Dekhenge Guzre Huye Salon Ke Taraf

Chodiyon Par Bhi Kai Tanz Kiye Jayenge

Kanpate Hathon Pe Bhee Fikre Kase Jayenge

Log Zalim Hai Har Ek Bat Ka Tanaa Denge

Baton Baton Mein Mera Zikr Bhee Le Ayenge

Unke Baton Ka Zara Sa Bhe Asar Mat Lena

Warna Chehre Ke Tasur Se Samajh Jayenge

Chaahe Kuchh Bhi Ho Sawalat Na Karna Unse

Mere Bare Me Koi Bat Na Karna Unse

Bat Niklegi To Phir Door Talak Jaayegi