baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk

kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tuk

ishq ki batain ghum ki batain, dunya walay kertay hain

kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tuk

ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho

yun hi bahanay qayam rakhna, tum meray mer jaanay tuk

itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana,

aa hi gayai tou rukna ho ga, aankhon k pathranay tuk