apane taaiin to har ghaDii Gam hai, aalam hai, daaG hai

yaad kare hamen kabhii kab ye tujhe dimaaG hai

ji kii Khushii nahiin giro sabz-o-gul ke haath kuchh

dil ho shaguftaa jis jagah wo hii chaman hai baaG hai

kis kii ye chashm-e-mast ne bazm ko yuuN chhakaa diya

masl-e-habaab sar naguN sharam se har ayaaG hai

jalate hii jalate subah tak guzarii use tamaam shab

dil hai ke sholaa hai koii, shamaa hai yaa chiraaG hai

paaiiye kis jagah bataa aye but-e-bewafaa tujhe

umr-e-guzashtaa kii tarah gum hii sadaa suraaG hai

sair-e-bahaar-o-baaG se ham ko maaf kiijiiye

us ke Khayaal-e-zulf se dard kise faraaG hai?